kitnā  sukūt  hai  rasan-o-dār  kī  taraf
aatā  hai  kaun  jur.at-e-iz.hār  kī  taraf
dasht-e-vafā  meñ  ābla-pā  koī  ab  nahīñ
sab  jā  rahe  haiñ  sāya-e-dīvār  kī  taraf
qasr-e-shahī  se  kahte  haiñ  niklegā  mehr-e-nau
ahl-e-ḳhirad  haiñ  is  liye  sarkār  kī  taraf
veitnam-o-Korea  se  adū  ko  nikāl  leñ
ā.eñge  lauT  kar  lab-o-ruḳhsār  kī  taraf
baaqī  jahāñ  meñ  rah  gayā  'ġhālib'  kā  naam  hī
har-chand  ik  hujūm  thā  aġhyār  kī  taraf