aur  sab  bhuul  ga.e  harf-e-sadāqat  likhnā
rah  gayā  kaam  hamārā  hī  baġhāvat  likhnā
laakh  kahte  raheñ  zulmat  ko  na  zulmat  likhnā
ham  ne  sīkhā  nahīñ  pyāre  ba-ijāzat  likhnā
na  sile  kī  na  satā.ish  kī  tamannā  ham  ko
haq  meñ  logoñ  ke  hamārī  to  hai  aadat  likhnā
ham  ne  jo  bhuul  ke  bhī  shah  kā  qasīda  na  likhā
shāyad  aayā  isī  ḳhūbī  kī  badaulat  likhnā
is  se  baḌh  kar  mirī  tahsīn  bhalā  kyā  hogī
paḌh  ke  nā-ḳhush  haiñ  mirā  sāhab-e-sarvat  likhnā
dahr  ke  ġham  se  huā  rabt  to  ham  bhuul  ga.e
sarv  qāmat  ko  javānī  ko  qayāmat  likhnā
kuchh  bhī  kahte  haiñ  kahīñ  shah  ke  musāhib  'jālib'
rañg  rakhnā  yahī  apnā  isī  sūrat  likhnā