bāteñ  to  kuchh  aisī  haiñ  ki  ḳhud  se  bhī  na  kī  jaa.eñ
sochā  hai  ḳhamoshī  se  har  ik  zahr  ko  pī  jaa.eñ
apnā  to  nahīñ  koī  vahāñ  pūchhne  vaalā
us  bazm  meñ  jaanā  hai  jinheñ  ab  to  vahī  jaa.eñ
ab  tujh  se  hameñ  koī  ta.alluq  nahīñ  rakhnā
achchhā  ho  ki  dil  se  tirī  yādeñ  bhī  chalī  jaa.eñ
ik  umr  uThā.e  haiñ  sitam  ġhair  ke  ham  ne
apnoñ  kī  to  ik  pal  bhī  jafā.eñ  na  sahī  jaa.eñ
'jālib'  ġham-e-daurāñ  ho  ki  yād-e-ruḳh-e-jānāñ
tanhā  mujhe  rahne  deñ  mire  dil  se  sabhī  jaa.eñ