Habib Jalib

kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
kaise kaheñ ki yād-e-yār raat jā chukī bahut
raat bhī apne saath saath aañsū bahā chukī bahut
chāñd bhī hai thakā thakā taare bhī haiñ bujhe bujhe
tire milan kī aas phir diip jalā chukī bahut
aane lagī hai ye sadā duur nahīñ hai shahr-e-gul
duniyā hamārī raah meñ kāñTe bichhā chukī bahut
khulne ko hai qafas kā dar paane ko hai sukūñ nazar
ai dil-e-zār shām-e-ġham ham ko rulā chukī bahut
apnī qiyādatoñ meñ ab DhūñDeñge log manzileñ
rāhzanoñ kī rahbarī raah dikhā chukī bahut
Top Urdushayar.com