Habib Jalib

na Dagmagae kabhi hum wafa ke raste mein

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
na Dagmagā.e kabhī ham vafā ke raste meñ
charāġh ham ne jalā.e havā ke raste meñ
kise lagā.e gale aur kahāñ kahāñ Thahre
hazār ġhuncha-o-gul haiñ sabā ke raste meñ
ḳhudā kā naam koī le to chauñk uThte haiñ
mile haiñ ham ko vo rahbar ḳhudā ke raste meñ
kahīñ salāsil-e-tasbīh aur kahīñ zunnār
bichhe haiñ daam bahut mudda.ā ke raste meñ
abhī vo manzil-e-fikr-o-nazar nahīñ aa.ī
hai aadmī abhī jurm o sazā ke raste meñ
haiñ aaj bhī vahī dār-o-rasan vahī zindāñ
har ik nigāh-e-rumūz-āshnā ke raste meñ
ye nafratoñ kī fasīleñ jahālatoñ ke hisār
na rah sakeñge hamārī sadā ke raste meñ
miTā sake na koī sail-e-inqalāb jinheñ
vo naqsh chhoḌe haiñ ham ne vafā ke raste meñ
zamāna ek sā 'jālib' sadā nahīñ rahtā
chaleñge ham bhī kabhī sar uThā ke raste meñ
Top Urdushayar.com