Taufeeq Sagar

faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai

Taufeeq Sagar

faqīroñ kā chalan yuuñ jism ke andar mahaktā hai
mirī pagḌī bhī gir jaa.e to merā sar mahaktā hai
vo apne haath meñ ik phuul bhī le kar nahīñ aayā
magar jaise koī gulshan mire andar mahaktā hai
mujhe dekhe binā us kā kabhī chehrā nahīñ khiltā
ajab ḳhushbū kā jhoñkā hai mujhe chhū kar mahaktā hai
parī kī dāstānoñ se mo.attar hai udhar āñgan
idhar sālan kī ḳhushbū meñ rasoī ghar mahaktā hai
ye maanā sab ke hāthoñ meñ yahāñ kashkol hai lekin
yahī vo gaañv hai har din jahāñ lañgar mahaktā hai
na jaane ḳhvāb ke TuuTe khañDar meñ kaun aayā thā
kabhī kamra mahaktā hai kabhī bistar mahaktā hai
mire lahje meñ ghultī jā rahī hai yuuñ tirī ḳhushbū
koī bhī aa.ina dekhūñ tirā paikar mahaktā hai
salīqa yuuñ bhaTakne kā sikhāyā hai faqīroñ ne
jidhar se ham guzar jaa.eñ vahāñ ghar ghar mahaktā hai
na jaane gaañv ke panghaT meñ 'sāgar' kaun aayā thā
abhī tak dekhiye tālāb kā patthar mahaktā hai
Top Urdushayar.com