jhūTī  ḳhabreñ  ghaḌne  vaale  jhūTe  sher  sunāne  vaale
logo  sabr  ki  apne  kiye  kī  jald  sazā  haiñ  paane  vaale
dard  āñkhoñ  se  bahtā  hai  aur  chehra  sab  kuchh  kahtā  hai
ye  mat  likkho  vo  mat  likkho  aa.e  baḌe  samjhāne  vaale
ḳhud  kāTeñge  apnī  mushkil  ḳhud  pā.eñge  apnī  manzil
rāhzanoñ  se  bhī  bad-tar  haiñ  rāh-numā  kahlāne  vaale
un  se  pyaar  kiyā  hai  ham  ne  un  kī  raah  meñ  ham  baiThe  haiñ
nā-mumkin  hai  jin  kā  milnā  aur  nahīñ  jo  aane  vaale
un  par  bhī  hañstī  thī  duniyā  āvāzeñ  kastī  thī  duniyā
'jālib'  apnī  hī  sūrat  the  ishq  meñ  jaañ  se  jaane  vaale