afsos  tumheñ  car  ke  shīshe  kā  huā  hai
parvā  nahīñ  ik  maañ  kā  jo  dil  TuuT  gayā  hai
hotā  hai  asar  tum  pe  kahāñ  nāla-e-ġham  kā
barham  jo  huī  bazm-e-tarab  is  kā  gilā  hai
fir.aun  bhī  namrūd  bhī  guzre  haiñ  jahāñ  meñ
rahtā  hai  yahāñ  kaun  yahāñ  kaun  rahā  hai
tum  zulm  kahāñ  tak  tah-e-aflāk  karoge
ye  baat  na  bhūlo  ki  hamārā  bhī  ḳhudā  hai
āzādi-e-insāñ  ke  vahīñ  phuul  khileñge
jis  jā  pe  zahīr  aaj  tirā  ḳhuun  girā  hai
tā-chand  rahegī  ye  shab-e-ġham  kī  siyāhī
rasta  koī  sūraj  kā  kahīñ  rok  sakā  hai
tū  aaj  kā  shā.ir  hai  to  kar  merī  tarah  baat
jaise  mire  hoñToñ  pe  mire  dil  kī  sadā  hai