Taufeeq Sagar

thakan ki talKHiyon ko armughan anmol deti hai

Taufeeq Sagar

thakan kī talḳhiyoñ ko armuġhāñ anmol detī hai
tirī bolī mirī chaa.e meñ chīnī ghol detī hai
na jaane muntazir kis kī hai ik nādān sī laḌkī
koī aahaT jo suntī hai darīcha khol detī hai
kahāñ kāñTe bichhe hoñge kidhar se ā.eñge patthar
mirī maañ ḳhvāb meñ aa kar mujhe sab bol detī hai
kahīñ par baiTh kar sunsān rasta shaam tak dekho
mohabbat apne Darāme meñ yahī ik rol detī hai
ye tanhā raat rātoñ ke alāva kuchh nahīñ detī
magar kuchh haath meñ detī hai to anmol detī hai
kabhī fāqa-kashī kā ġham na chhat kī fikr hai lekin
ġharībī beTiyoñ kā pahle zevar mol detī hai
kabhī darvesh ban jaao to mil jaa.e shahanshāhī
kabhī to bādshāhat haath meñ kashkol detī hai
hamāre gaañv ke khetoñ meñ 'sāgar' phuul khilte haiñ
vo miTTī aur hogī jo tumheñ pistol detī hai
Top Urdushayar.com