aañsū  to  koī  aañkh  meñ  laayā  nahīñ  huuñ  maiñ
jaisā  magar  lagā  tumheñ  vaisā  nahīñ  huuñ  maiñ
ab  mubtalā-e-ishq  zyāda  nahīñ  huuñ  maiñ
kahte  ho  tum  yahī  to  phir  achchhā  nahīñ  huuñ  maiñ
ḳhūbī  na  ho  koī  magar  itnā  to  hai  zarūr
jhūTī  lage  jo  baat  vo  kahtā  nahīñ  huuñ  maiñ
paanī  pe  bante  aks  kī  mānind  huuñ  magar
āñkhoñ  meñ  koī  bhar  le  to  miTtā  nahīñ  huuñ  maiñ
is  tarah  ḳhud  ko  mujh  pe  numāyāñ  na  kījiye
insān  huuñ  huzūr  farishta  nahīñ  huuñ  maiñ
rastoñ  ke  ḳham  va  pech  meñ  aisā  rahā  huuñ  ġharq
ab  tak  kisī  maqām  pe  Thahrā  nahīñ  huuñ  maiñ
saudā  hai  mere  sar  meñ  to  pairoñ  meñ  bhī  hai  dam
chaltā  huuñ  ek  baar  to  ruktā  nahīñ  huuñ  maiñ
maano  mirī  bhī  baat  ki  sab  kuchh  luTā  ke  bhī
jiitā  huuñ  us  ke  ishq  meñ  haarā  nahīñ  huuñ  maiñ
sun  lo  'hilāl'  aaj  hī  sunñā  hai  jo  ġhazal
phir  mujh  se  mat  ye  kahnā  sunātā  nahīñ  huuñ  maiñ