āñkhoñ  meñ  vo  ḳhvāb  nahīñ  baste  pahlā  sā  vo  haal  nahīñ  hotā
ab  fasl-e-bahār  nahīñ  aatī  aur  rañj  o  malāl  nahīñ  hotā
is  aql  kī  maarī  nagrī  meñ  kabhī  paanī  aag  nahīñ  bantā
yahāñ  ishq  bhī  log  nahīñ  karte  yahāñ  koī  kamāl  nahīñ  hotā
ham  aaj  bahut  hī  pareshāñ  haiñ  is  vaqt  ke  pher  se  hairāñ  haiñ
hameñ  le  ke  chalo  kisī  aisī  taraf  jahāñ  hijr  o  visāl  nahīñ  hotā
jitnī  hai  nadāmat  tum  ko  ab  utne  hī  pashīmāñ  ham  bhī  haiñ
tum  us  kā  javāb  hī  kyuuñ  socho  ham  se  jo  savāl  nahīñ  hotā
vo  bastī  bhī  ik  bastī  thī  ye  bastī  bhī  ik  bastī  hai
vahāñ  TuuT  ke  dil  juḌ  jaate  the  yahāñ  koī  ḳhayāl  nahīñ  hotā
is  shahr  kī  riit  ko  aam  kareñ  jhuk  jhuk  ke  sabhī  ko  salām  kareñ
har  kaam  to  ham  kar  lete  haiñ  yahī  kaam  'hilāl'  nahīñ  hotā