vahī  huā  ki  ḳhud  bhī  jis  kā  ḳhauf  thā  mujhe
charāġh  ko  jalā  ke  bas  dhuāñ  milā  mujhe
kabhī  miTā  sakā  na  koī  dūsrā  mujhe
shikast  de  ga.ī  magar  mirī  anā  mujhe
javāb  is  savāl  kā  bhī  de  zarā  mujhe
uḌā  ke  laa.ī  hai  yahāñ  pe  kyuuñ  havā  mujhe
harī-bharī  sī  shāḳh  par  khilā  huā  gulāb
na  jaane  ek  ḳhaar  kyuuñ  chubhā  gayā  mujhe
us  ajnabī  se  vāsta  zarūr  thā  koī
vo  jab  kabhī  milā  to  bas  mirā  lagā  mujhe
abhī  na  mujh  ko  Tokiye  abhī  to  zindagī
sunā  rahī  hai  giit  roz  ik  nayā  mujhe
ye  muddatoñ  ke  baad  jo  kahī  ġhazal  'hilāl'
vo  kaun  hai  jo  aaj  yaad  aa  gayā  mujhe