rukne  ke  liye  dast-e-sitam-gar  bhī  nahīñ  thā
afsos  kisī  haath  meñ  patthar  bhī  nahīñ  thā
bāhar  jo  nahīñ  thā  to  koī  baat  nahīñ  thī
ehsās-e-nadāmt  magar  andar  bhī  nahīñ  thā
jannat  na  mujhe  dī  to  maiñ  dozaḳh  bhī  na  lūñgā
momin  jo  nahīñ  thā  to  maiñ  kāfir  bhī  nahīñ  thā
lauTā  jo  vatan  ko  to  vo  raste  hī  nahīñ  the
jo  ghar  thā  vahāñ  vo  to  mirā  ghar  bhī  nahīñ  thā
anjām  to  zāhir  thā  safeñ  TuuT  chukī  thiiñ
sālār-e-muazzaz  sar-e-lashkar  bhī  nahīñ  thā
afsos  qabīle  pe  khulā  ġhair  ke  hāthoñ
sardār  ke  pahlū  meñ  to  ḳhanjar  bhī  nahīñ  thā
jo  baat  kahī  thī  vo  bahut  saaf  kahī  thī
dil  meñ  jo  nahīñ  thā  vo  zabāñ  par  bhī  nahīñ  thā
ye  sach  hai  qasīda  na  'hilāl'  ek  bhī  likkhā
ye  sach  hai  ki  maiñ  shaah  kā  naukar  bhī  nahīñ  thā