ham  ḳhud  bhī  hue  nādim  jab  harf-e-duā  niklā
samjhe  the  jise  patthar  vo  shaḳhs  ḳhudā  niklā
is  dasht  se  ho  kar  bhī  ik  sail-e-anā  niklā
kuchh  barg-e-shajar  TuuTe  kuchh  zor-e-havā  niklā
uljhan  kā  sulajh  jaanā  ik  ḳhām-ḳhayālī  thī
jab  ġhaur  kiyā  ham  ne  ik  pech  nayā  niklā
ai  fitrat-e-sad  ma.anī  'ġhālib'  kī  ġhazal  hai  tū
jab  husn  tirā  parkhā  pahle  se  savā  niklā
ham  paas  bhī  jaane  se  jis  shaḳhs  ke  Darte  the
chhū  kar  jo  use  dekhā  miTTī  kā  banā  niklā
phūloñ  meñ  'hilāl'  aao  ab  raqs-e-ḳhizāñ  dekheñ
kāñToñ  ke  nagar  meñ  to  har  baaġh  harā  niklā