ye  visāl  o  hijr  kā  mas.ala  to  mirī  samajh  meñ  na  aa  sakā
kabhī  koī  mujh  ko  na  pā  sakā  kabhī  maiñ  kisī  ko  na  pā  sakā
ka.ī  bastiyoñ  ko  ulaT  chukā  koī  taab  is  kī  na  lā  sakā
magar  āñdhiyoñ  kā  ye  silsila  tirā  naqsh-e-pā  na  miTā  sakā
mirī  dāstāñ  bhī  ajiib  hai  vo  qadam  qadam  mire  saath  thā
jise  rāz-e-dil  na  batā  sakā  jise  dāġh-e-dil  na  dikhā  sakā
na  hī  bijliyāñ  na  hī  bārisheñ  na  hī  dushmanoñ  kī  vo  sāzisheñ
bhalā  kyā  sabab  hai  batā  zarā  jo  tū  aaj  bhī  nahīñ  aa  sakā
kabhī  raushnī  kī  talab  rahī  kabhī  hausloñ  kī  kamī  rahī
maiñ  charāġh  ko  tire  naam  ke  na  jalā  sakā  na  bujhā  sakā
vo  jo  aks  rañg-e-'hilāl'  thī  vo  jo  aap  apnī  misāl  thī
mujhe  aaj  tak  hai  ḳhalish  yahī  tujhe  vo  ġhazal  na  sunā  sakā