vaqt  ne  rañg  bahut  badle  kyā  kuchh  sailāb  nahīñ  aa.e
mirī  āñkheñ  kab  vīrān  huiiñ  kab  tere  ḳhvāb  nahīñ  aa.e
dil  sahrā  kā  vo  tishna-lab  har  baar  yahī  sochā  jis  ne
mumkin  hai  ki  aage  dariyā  ho  aur  koī  sarāb  nahīñ  aa.e
ham  log  kyuuñ  itne  pareshāñ  haiñ  kis  baat  par  āḳhir  nālāñ  haiñ
kyā  saarī  bahāreñ  ruuTh  ga.iiñ  kyā  ab  ke  gulāb  nahīñ  aa.e
tum  qurb  kī  rāhat  kyā  samjho  tum  hijr  kī  vahshat  kyā  jaano
tum  ne  vo  raat  nahīñ  kaaTī  tum  par  vo  azaab  nahīñ  aa.e
pahle  bhī  jahāñ  par  bichhḌe  the  vahī  manzil  thī  is  baar  magar
vo  bhī  be-laus  nahīñ  lauTā  ham  bhī  be-tāb  nahīñ  aa.e
ye  bazm-e-'hilāl'  hai  ḳhuub  magar  jab  tak  na  sunā.eñ  aap  ġhazal
chehroñ  ke  gulāb  nahīñ  mahkeñ  mahfil  pe  shabāb  nahīñ  aa.e