sab  kuchh  kho  kar  mauj  uḌānā  ishq  meñ  sīkhā
ham  ne  kyā  kyā  tiir  chalānā  ishq  meñ  sīkhā
riit  ke  aage  priit  nibhānā  ishq  meñ  sīkhā
sādhū  ban  kar  masjid  jaanā  ishq  meñ  sīkhā
ishq  se  pahle  tez  havā  kā  ḳhauf  bahut  thā
tez  havā  meñ  hañsnā  gaanā  ishq  meñ  sīkhā
har  ik  sarhad  phāñd  chukā  thā  sarkash  dariyā
us  dariyā  ko  moḌ  ke  laanā  ishq  meñ  sīkhā
ishq  kiyā  to  zulm  huā  aur  zulm  huā  jab
zulm  ke  aage  sar  na  jhukānā  ishq  meñ  sīkhā
apne  dukh  meñ  ronā-dhonā  aap  hī  aayā
ġhair  ke  dukh  meñ  ḳhud  ko  dukhānā  ishq  meñ  sīkhā
ishq  kā  jaadū  kyā  hotā  hai  ham  se  pūchho
dhuul  meñ  mil  kar  phuul  khilānā  ishq  meñ  sīkhā
kuchh  bhī  'hilāl'  ab  Dīñgeñ  maaro  lekin  tum  ne
mahfil  mahfil  dhuum  machānā  ishq  meñ  sīkhā