Zafar Ajmi

ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan se khinchte hain

Zafar Ajmi

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1966
ummīd-e-sub.h-e-bahārāñ ḳhizāñ se khīñchte haiñ
ye tiir roz dil-e-nā-tavāñ se khīñchte haiñ
Kashīd-e-tishnā-labī qatra qatra piite haiñ
ye āb-e-talḳh ġham-e-raftagāñ se khīñchte haiñ
maiñ un se luqma-e-tayyab kī daad kyā chāhūñ
jo apnā rizq dahān-e-sagāñ se khīñchte haiñ
subū se lazzat-e-yak-gūnā lete haiñ lekin
ḳhumār-e-ḳhās lab-e-dostāñ se khīñchte haiñ
dikhā.ī paḌtā hai aadā meñ ek chehra-e-dost
so haath sāhibo saif o sināñ se khīñchte haiñ
ḳhayāl-e-tāzā se karte haiñ ḳhvāb-e-nau taḳhlīq
'zafar' zamīneñ na.ī āsmāñ se khīñchte haiñ
Top Urdushayar.com