zahr  meñ  bujhtī  huī  bel  hai  dīvār  ke  saath
jaise  ik  nā.ika  baiThī  ho  gunahgār  ke  saath
mujh  se  milnā  hai  to  ye  qaid  nahīñ  mujh  ko  pasand
har  mulāqāt  muqayyad  rahe  itvār  ke  saath
ek  hī  vaar  meñ  marne  se  kahīñ  behtar  hai
ek  ik  sar  vo  jo  kaTtā  rahe  talvār  ke  saath
maiñ  ne  har-gām  pe  un  logoñ  ko  marte  dekhā
vo  jo  jiite  rahe  is  daur  meñ  kirdār  ke  saath
ye  jahāñ  muflis-o-nādār  kā  hamdard  ho  kyuuñ
jis  ke  har  kone  pe  tahrīr  hai  zardār  ke  saath
koī  shā.ir  mire  marne  kī  ḳhabar  laayā  hai
ek  sah-columnī  surḳhī  liye  aḳhbār  ke  saath
jashn-e-ḳhūñ-nāb  hai  maqtal  meñ  muġhannī  se  kaho
koī  ik  raag  nayā  giit  ho  malhār  ke  saath
maiñ  bhī  is  shahr-e-ḳhamoshāñ  kā  hī  sākin  huuñ  'umīd'
jis  kī  har  lauh  pe  tahrīr  hai  āzār  ke  saath