thī  siyāhiyoñ  kā  maskan  mirī  zindagī  kī  vaadī
tire  husn  ke  tasadduq  mujhe  raushnī  dikhā  dī
tirā  ġham  samā  gayā  hai  mire  dil  kī  dhaḌkanoñ  meñ
koī  aish  jab  bhī  aayā  mire  dil  ne  bad-duā  dī
jo  zarā  bhī  niiñd  aa.ī  kabhī  ahl-e-kārvāñ  ko
vahī  ban  ga.e  luTere  jo  bane  hue  the  haadī
vo  kabhī  na  ban  sakī  hai  vo  kabhī  na  ban  sakegī
kisī  dil  kī  jo  imārat  tirī  be-ruḳhī  ne  Dhā  dī
ye  kabhī  kabhī  ināyat  hai  ba-manzil-e-siyāsat
ki  jafā.eñ  sahne  vaalā  kahīñ  ho  na  jaa.e  aadī
hameñ  āḳhirat  meñ  'āmir'  vahī  umr  kaam  aa.ī
jise  kah  rahī  thī  duniyā  ġham-e-ishq  meñ  gañvā  dī