na  sakat  hai  zabt-e-ġham  kī  na  majāl-e-ashk-bārī
ye  ajiib  kaifiyat  hai  na  sukūñ  na  be-qarārī
tirā  ek  hī  sitam  hai  tire  har  karam  pe  bhārī
ġham-e-do-jahāñ  se  de  dī  mujhe  tū  ne  rustagārī
mirī  zindagī  kā  hāsil  tire  ġham  kī  pāsdārī
tire  ġham  kī  aabrū  hai  mujhe  har  ḳhushī  se  pyārī
ye  qadam  qadam  balā.eñ  ye  savād-e-kū-e-jānāñ
vo  yahīñ  se  lauT  jaa.e  jise  zindagī  ho  pyārī
tire  jāñ-navāz  vaade  mujhe  kyā  fareb  dete
tire  kaam  aa  ga.ī  hai  mirī  zūd-e'tibārī
mirī  raat  muntazir  hai  kisī  aur  sub.h-e-nau  kī
ye  sahar  tujhe  mubārak  jo  hai  zulmatoñ  kī  maarī