haqīr  ḳhaak  ke  zarre  the  āsmān  hue
vo  log  jo  dar-e-jānāñ  ke  pāsbān  hue
shuda-shuda  vahī  gulshan  ke  hukmarān  hue
jo  ḳhaar  pī  ke  guloñ  kā  lahū  javān  hue
ham  aise  ahl-e-junūñ  par  hañse  na  kyuuñ  duniyā
ki  sar  kaTā  ke  samajhte  haiñ  kāmrān  hue
ye  kam  nahīñ  ki  bujhā.ī  hai  pyaas  kāñToñ  kī
balā  se  rāh-e-vafā  meñ  lahūluhān  hue
guloñ  ne  ābla-pā.ī  kī  koī  daad  na  dī
chaman  meñ  ḳhaar  hī  chhāloñ  ke  mezbān  hue
kiyā  jo  bhuul  ke  dil  ne  ḳhayāl-e-tark-e-vafā
ham  apne  aap  se  kyā  kyā  na  bad-gumān  hue