dil  pe  vo  vaqt  bhī  kis  darja  girāñ  hotā  hai
zabt  jab  dāḳhil-e-fariyād-o-fuġhāñ  hotā  hai
kaise  batlā.eñ  ki  vo  dard  kahāñ  hotā  hai
ḳhuun  ban  kar  jo  rag-o-pai  meñ  ravāñ  hotā  hai
ishq  hī  kab  hai  jo  mānūs-e-zabāñ  hotā  hai
dard  hī  kab  hai  jo  mohtāj-e-bayāñ  hotā  hai
jitnī  jitnī  sitam-e-yār  se  khātā  hai  shikast
dil  javāñ  aur  javāñ  aur  javāñ  hotā  hai
vaah  kyā  chiiz  hai  ye  shiddat-e-rabt-e-bāham
bār-hā  ḳhud  pe  mujhe  terā  gumāñ  hotā  hai
kitnī  pāmāl  umañgoñ  kā  hai  madfan  mat  pūchh
vo  tabassum  jo  haqīqat  meñ  fuġhāñ  hotā  hai
ishq  sar-tā-ba-qadam  ātish-e-sozāñ  hai  magar
us  meñ  shola  na  sharāra  na  dhuāñ  hotā  hai
kyā  ye  insāf  hai  ai  ḳhāliq-e-sub.h-e-gulshan
koī  hañstā  hai  koī  girya-kunāñ  hotā  hai
ġham  kī  baḌhtī  huī  yūrish  se  na  ghabrā  'āmir'
ġham  bhī  ik  manzil-e-rāhat  kā  nishāñ  hotā  hai