Amir Usmani

lauTe kuchh is tarah teri jalwa-sara se hum

Amir Usmani

1920-1975
lauTe kuchh is tarah tirī jalva-sarā se ham
bante ga.e qadam-ba-qadam aa.ina se ham
is darja pā.emāl na hote jafā se ham
luuTe ga.e siyāsat-e-mehr-o-vafā se ham
baaqī hī kyā rahā hai tujhe māñgne ke baad
bas ik duā meñ chhūT ga.e har duā se ham
dekhī ga.ī na ham se shikast-e-ġhurūr-e-husn
sharmā ga.e irāda-e-tark-e-vafā se ham
ye kyā kahā junūñ hai mohabbat kī intihā
ai be-ḳhabar chale haiñ isī intihā se ham
maanā ki dil ko tere na milne kā ġham rahā
sad shukr bach ga.e talab-e-mā-sivā se ham
Top Urdushayar.com