shab  zarā  der  se  guzregī  na  ghabrā  ai  dil
sub.h  ḳhud  hogī  numūdār  Thahar  jā  ai  dil
kho  ga.ī  gesū-e-jānāñ  ki  ghanī  chhāñv  kahāñ
har  taraf  dhuup  kā  taptā  huā  sahrā  ai  dil
kūcha-e-yār  meñ  aa.e  the  kin  ummīdoñ  se
luT  ga.ī  aa  ke  yahāñ  shauq  kī  duniyā  ai  dil
kaisī  shorish  sī  bapā  hai  kabhī  chal  kar  dekheñ
qatl-gāhoñ  meñ  hai  ye  kaisā  tamāshā  ai  dil
mausam-e-gul  hai  ye  kaisā  ki  chaman  hairāñ  hai
har  kalī  phuul  kā  dil  jaise  ki  merā  ai  dil
dushman-e-jāñ  haiñ  sabhī  saare  ke  saare  qātil
tū  bhī  is  bhiiḌ  meñ  kuchh  der  Thahar  jā  ai  dil