apne  mehvar  se  jab  utar  jā.ūñ
phuul  kī  tarah  phir  bikhar  jā.ūñ
lauT  phir  aa.uuñ  kaise  mehvar  par
koī  batlāo  kyā  maiñ  kar  jā.ūñ
jaane  kyā  kah  rahī  hai  duniyā  ab
pahle  kahtī  thī  kyuuñ  na  mar  jā.ūñ
mujh  se  hargiz  se  na  ho  sakegā  kabhī
ḳhud  ko  auroñ  ke  jaisā  kar  jā.ūñ
Duub  jā.ūñ  bhañvar  ke  saath  kahīñ
lahar  ke  saath  phir  ubhar  jā.ūñ
lauT  aayā  to  huuñ  maiñ  mehvar  par
ab  ye  ḳhvāhish  hai  phir  bikhar  jā.ūñ