Razi Raziuddin

ab bhi usi tarah se ise intizar hai

Razi Raziuddin

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1953
ab bhī usī tarah se ise intizār hai
ab bhī kisī ḳhayāl se dil be-qarār hai
aatī ḳhizāñ meñ bikhre haiñ murjhā.e chand phuul
ujḌā huā chaman hai ye jaatī bahār hai
yuuñ dil pe le liyā hai ki tan kā na hosh hai
aur tan pe jo qabā hai to vo tār-tār hai
aahaT ho koī us kī taraf dauḌe jaate haiñ
tāḳhīr ek pal kī bhī ab dil pe baar hai
dil ko jalā.e rakkhā hai ham ne charāġh sā
is ghar meñ ham haiñ aur tirā intizār hai
Top Urdushayar.com