Ameen Rahat Chugtai

rose jo marta hai isko aadmi likkho kabhi

Ameen Rahat Chugtai

1930
roz jo martā hai is ko aadmī likkho kabhī
tīrgī ke baab meñ bhī raushnī likkho kabhī
saañs lenā bhī muqaddar meñ nahīñ jis ahd meñ
baiTh kar us ahd kī bhī an-kahī likkho kabhī
dard-e-dil dard-e-jigar kī dāstāñ likkhī bahut
nān-e-ḳhushk-o-āb-e-kam ko zindagī likkho kabhī
maslahat par bhī kabhī hote rahe qurbāñ usuul
in usūloñ ko bhī un kī dil-lagī likkho kabhī
gar sameTe jā rahe ho kaam jo karne ke the
us ko 'rāhat' sā.atoñ kī āgahī likkho kabhī
Top Urdushayar.com