Ameen Rahat Chugtai

main teri dastaras se bahut dur tha

Ameen Rahat Chugtai

1930

maiñ tirī dastaras se bahut duur thā

phir bhī nazdīk aane pe majbūr thā

aaj maiñ sazā-vār-e-jaur-o-sitam

kal tirī maañg maiñ sindūr thā

kaun aatā hai yuuñ zer-e-dām in dinoñ

raat tārīk thī āshiyāñ duur thā

kuchh ḳhulūs-e-vafā par bhī nādim thā maiñ

aur kuchh dil ke zaḳhmoñ se bhī chuur thā

aa.ina dekh kar yuuñ nadāmat huī

maiñ ki 'rāhat' huuñ ab pahle mansūr thā

Top Urdushayar.com