dalīl-e-kun  hai  magar  dard-e-lā-davā  niklī
ye  kā.enāt  ajab  hairat-āzmā  niklī
ye  maanā  sach  hai  koī  ġham  sadā  nahīñ  rahtā
ḳhushī  milī  thī  to  vo  bhī  gurez-pā  niklī
havā  kī  tarah  se  uḌ  jā.ūñgā  jahāñ  bhī  rahūñ
pa.e  ḳhabar  qafas-e-rañg  se  sadā  niklī
kahāñ  se  aa.ī  havā  is  ujaaḌ  manzar  meñ
jo  ghar  se  niklī  to  vo  bhī  shikasta-pā  niklī
vo  nīm-shab  vo  ruḳh-e-māhtāb-o-abr-e-siyah
shikastagī  thī  ki  chashm-e-falak-numā  niklī
vo  mauj-e-mai  thī  jo  chamkā  ga.ī  udāsī  ko
kisī  kī  ḳhanda-labī  bu-e-āshnā  niklī
hayā  ke  saath  taqāzā-e-qahr-o-mahar  bhī  hai
tirī  nazar  se  tabī.at  mirī  judā  niklī