ajiib  shai  hai  tarah-dār  bhī  tamannā  bhī
raqīb-e-jāñ  bhī  hai  qātil  bhī  hai  masīhā  bhī
udaas  udaas  harīm-e-nigāh  be-manzar
dhuāñ  dhuāñ  ḳhalish-e-rā.egāñ  se  duniyā  bhī
dil-o-dimāġh-o-nafas  tishnagī  se  haiñ  raushan
isī  kī  aag  meñ  jalte  haiñ  shahar-o-sahrā  bhī
vahī  havā-e-jahāñ-tāb  mo'atabar  hai  ki  jo
jilā  ke  chhoḌ  ga.ī  hai  charāġh-e-fardā  bhī
talab  meñ  mujh  se  to  lamha  bhī  ik  nahīñ  kaTtā
isī  ḳhumār  ne  kaaTe  haiñ  koh-o-dariyā  bhī
tire  ḳhayāl  se  ḳhalvat  bhī  anjuman  hai  mujhe
tire  ḳhayāl  se  hoñ  anjuman  meñ  tanhā  bhī
fazā-e-ḳhvāb-e-tarab  ne  jagā  diyā  mujh  ko
lagī  jo  aañkh  to  hone  lagā  saverā  bhī