Syed Amin Ashraf

ye aankh tanz na ho zaKHm-e-dil hara na lage

Syed Amin Ashraf

1931
ye aañkh tanz na ho zaḳhm-e-dil harā na lage
mujhe qarār to ho yā use hayā na lage
fishār-e-jāñ ho to kaifiyat-e-mukammal ho
vo iztirāb to ho iztirāb sā na lage
vo rū-ba-rū ho to ārā.ish-e-bayāñ bhī na ho
ki maiñ kahūñ to kisī aur kā kahā na lage
muāmalāt-e-mohabbat mizāj rakhte haiñ
tabī.ateñ hoñ jo yaksāñ to fāsla na lage
ḳhizāñ-rasīda chaman meñ bhī jhūltī ho bahār
guloñ se rañg kalī se mahak judā na lage
yahī to hotī hai vaz-e-shaguftan-e-mahtāb
miyān-e-abr ho yā āsmāñ khulā na lage
vahī to dard hai jo dard-e-mā-sivā samjhe
rifāqateñ hoñ to aalam nigār-ḳhāna lage
alam to ḳhair alam hai ki pā.edār nahīñ
vabāl hai jo ḳhushī bhī gurez-pā na lage
ulajh rahī haiñ ḳhayālī uḌaan se āñkheñ
kahīñ navishta-e-dīvār be-sadā na lage
Top Urdushayar.com