zeb  us  ko  ye  āshob-e-gadā.ī  nahīñ  detā
dil  mashvara-e-nāsiya-sā.ī  nahīñ  detā
kis  dhund  kī  chādar  meñ  hai  lipTī  koī  āvāz
dastak  ke  sivā  kuchh  bhī  sunā.ī  nahīñ  detā
hai  tā-hadd-e-imkāñ  koī  bastī  na  bayābāñ
āñkhoñ  meñ  koī  ḳhvāb  dikhā.ī  nahīñ  detā
aalam  bhī  qafas  rañg  hai  aisā  ki  nazar  ko
is  dām-e-tahayyur  se  rihā.ī  nahīñ  detā
yādoñ  ko  sulā  detā  hai  saa.e  meñ  shajar  ke
vo  hausla-e-dard-e-rasā.ī  nahīñ  detā
dil  us  kā  hathelī  pe  hai  mere  liye  lekin
hāthoñ  meñ  mire  dast-e-hinā.ī  nahīñ  detā
ārā.ish-e-jāñ  ke  liye  kaafī  nahīñ  vahshat
mujh  ko  to  koī  zaḳhm  dikhā.ī  nahīñ  detā
is  ishq  meñ  kuchh  shā.iba-e-hirs  bhī  hogā
maiñ  quvvat-e-bātin  kī  safā.ī  nahīñ  detā
raushan  hai  shab-e-hijr  ba-andāz-e-ta.alluq
vo  mehr-e-nazar  dāġh-e-judā.ī  nahīñ  detā