Syed Amin Ashraf

na jaane jae kahan tak ye silsila dil ka

Syed Amin Ashraf

1931
na jaane jaa.e kahāñ tak ye silsila dil kā
vo mil bhī jaa.e to miltā nahīñ sila dil kā
baras rahī thiiñ bahāreñ taras rahī thī zamīñ
safar tamām huā phuul kab khilā dil kā
kahāñ hai vo shah-ḳhūbī kahāñ darīcha-e-shab
ga.e vo din ki samā.at meñ thā gila dil kā
vahī ḳharābī-e-jāñ kā sabab bhī hai lekin
qarār-e-jāñ hai ki ye hai muāmla dil kā
use fusūñ-gar o be-mehr maiñ nahīñ kahtā
firāq-e-yār kā baa.is hai fāsla dil kā
talāsh usī kī musalsal usī ko pā kar bhī
zamīñ se tā-ba-falak hai ye mashġhala dil kā
kisī tilism-e-hijābāt meñ koī ġham hai
bhaTak rahā hai ḳhayāloñ meñ qāfila dil kā
Top Urdushayar.com