ek  manzar  kahkashānī  ik  ḳhat-e-bar-āb  bhī
zindagī  bālā-nashīnī  bhī  kamand-e-ḳhvāb  bhī
kuchh  junūñ  kī  sarfaroshī  kuchh  ḳhirad  kā  bāñkpan
varna  hai  uzv-e-muattal  ālam-e-asbāb  bhī
duur  sāhil  se  tamāshā  dekhte  rahte  haiñ  log
kashtiyāñ  hotī  haiñ  zer-e-āb  bhī  ġharqāb  bhī
ḳhastagī  meñ  tujh  se  kyā  shikva  ki  ai  jān-e-murād
is  bulandī  se  nazar  aate  nahīñ  ahbāb  bhī
dil  bhī  lag  jā.egā  mushkil  sahl  bhī  ho  jā.egā
kār-e-duniyā  meñ  milā  deñ  kār-e-pech-o-tāb  bhī
apnī  dhun  par  lahlahānā  kisht-e-jāñ  kī  ḳhāsiyat
mausamoñ  ke  darmiyāñ  tishna  bhī  hoñ  sairāb  bhī
us  nazar  kī  shoḳhiyoñ  ne  lā-ubālī  kar  diyā
us  kī  nazroñ  ne  sikhā.e  shauq  ke  ādāb  bhī
farq  itnā  hai  ki  hairāñ  ho  ke  rah  jaatī  hai  aañkh
aag  barsātā  thā  pahle  dīda-e-shādāb  bhī
tairne  joḌe  batoñ  ke  ab  yahāñ  aate  nahīñ
gaañv  meñ  paanī  se  ḳhālī  ho  gayā  tālāb  bhī
tere  jalvoñ  ne  miTāyā  imtiyāz-e-roz-o-shab
dekhtā  huuñ  māh-e-nau  bhī  mehr-e-ālam-tāb  bhī
maiñ  thā  nā-ma.alūm  shai  thī  dīda-e-hairān  thā
aise  manzar  se  qarīñ  thā  mauja-e-sailāb  bhī
shā.irī  kyā  hai  'amīn-ashraf'  navā-e-barg  ne
ishq-nāma  bhī  ġhazal  bhī  āsmāñ  mehrāb  bhī