Syed Amin Ashraf

bahaar aati hai lekin sar mein wo sauda nahin hota

Syed Amin Ashraf

1931
bahār aatī hai lekin sar meñ vo saudā nahīñ hotā
har aahaT par tirī āvāz kā dhokā nahīñ hotā
tirā ġham ho to aa jaa.e salīqa muskurāne kā
ki har āzār-e-jāñ shā.ista-e-duniyā nahīñ hotā
nishāñ kunj-e-tarab kā kohsār-e-ġham se miltā hai
bhaTak jaatā huuñ maiñ jab raah meñ dariyā nahīñ hotā
yahī sūrat to har-sū kūcha-o-bāzār meñ bhī hai
jahāñ vahshat barastī ho vahīñ sahrā nahīñ hotā
ik ā.īna bahar-sūrat pas-e-ā.īna hotā hai
jo chamke ābgīne meñ vahī chehra nahīñ hotā
use ye ḳhushnumā duniyā kabhī achchhī nahīñ lagtī
kisī masraf kā kār-e-dīda-e-bīnā nahīñ hotā
bahāna tujh se milne kā ye tanhā.ī ne DhūñDā hai
sar-e-mahfil kisī ko diid kā yaarā nahīñ hotā
jo dī haiñ ne.amateñ yārab to phir haqq-e-tasarruf de
nazar apnī dimāġh apnā hai dil apnā nahīñ hotā
zarā kuchh shaġhl-e-neko-kār bhī 'sayyad-amīn-ashraf'
faqat nām-o-nasab se aadmī achchhā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com