Syed Tamjeed Haider Tamjeed

sans ka apni rag-e-jaan se guzar hone tak

Syed Tamjeed Haider Tamjeed

saañs kā apnī rag-e-jāñ se guzar hone tak
dard hotā hai mujhe shab ke sahar hone tak
umr guzrī pa asar aah kā phir bhī na huā
jī ga.e ham bhī kisī zulf ke sar hone tak
jab vo samjheñge to ye dard meñ Dhal jā.egī
aah baaqī hai mirī sirf asar hone tak
thā taġhāful unheñ nau-mīdī-e-jāved bhī thī
ḳhāk-dar-ḳhāk the ham un ko ḳhabar hone tak
apne hī ḳhuuñ meñ nahātā hai har ik saañs ke saath
dil mirā dil thā kisī dard kā ghar hone tak
sāmnā partav-e-ḳhur kā kare shabnam kaise
zor lagtā hai bahut ḳhushk ko tar hone tak
ḳhaak haiñ ḳhaak meñ mil jaane kā Dar kyuuñ ho hameñ
ḳhauf khānā hai to qatre ko guhar hone tak
dil meñ ab rahm nahīñ mehr-o-mohabbat bhī nahīñ
vo bhī insāñ thā magar sāhab-e-zar hone tak
ho gayā ishq jo māyūs-e-tamannā ik baar
maut aa.egī use bār-e-digar hone tak
un ke bā-zābta hone kī hai 'tamjīd' umiid
ham bhī ho jaate haiñ ḳhāmosh magar hone tak
Top Urdushayar.com