qalam  se  rābta-e-rang-o-āb  TuuT  gayā
kisī  musavvir-e-fitrat  kā  ḳhvāb  TuuT  gayā
ye  dil  ki  sañg  na  thā  ek  ābgīna  thā
na  lā  sakā  tire  jalvoñ  kī  taab  TuuT  gayā
savāl  ye  hai  ki  maiñ  ne  kisī  se  kyā  paayā
javāb  ye  hai  ki  barsoñ  kā  ḳhvāb  TuuT  gayā
huā  vo  mujh  se  muḳhātab  to  yuuñ  lagā  jaise
koī  sitāra-e-gardūñ-rikāb  TuuT  gayā
usūl-e-āmad-o-raft-e-bahār  kyā  kahiye
kalī  jo  shāḳh  pe  aa.ī  gulāb  TuuT  gayā
ġhazal  ke  sher  jo  rusvā-e-intiḳhāb  hue
bharam  nazar  kā  pas-e-intiḳhāb  TuuT  gayā
rah-e-havas  meñ  thī  haa.il  zamīr  kī  āvāz
magar  taqaddus-e-ahd-e-shabāb  TuuT  gayā