naġhma-zan  hai  nazar-e-be-āvāz
kyuuñ  mire  dil  asar-e-be-āvāz
mere  dil  se  unheñ  apne  dil  kī
mil  rahī  hai  ḳhabar-e-be-āvāz
laakh  kirnoñ  kī  zabāñ  rakhtā  hai
ek  nūr-e-sahar-e-be-āvāz
huī  barbād  pas-e-be-hunrāñ
sa.ī-e-arz-e-hunar-e-be-āvāz
pa.e  hañgāma-e-hastī-e-bashar
maut  hai  chāragar-e-be-āvāz
hai  vo  be-pāñv  guzarne  kī  dalīl
irtiqā  kā  safar-e-be-āvāz
rañg  laayā  hai  sadā  ban  ke  'sabā'
merā  ḳhūn-e-jigar-e-be-āvāz