Sadaf Jafri

wo pipal ke tale TuTi hui mehrab ka manzar

Sadaf Jafri

vo pīpal ke tale TuuTī huī mehrāb manzar

dikhā detā hai mujh ko ik dil-e-betāb manzar

chalā kar kāġhzī kashtī koī ma.asūm hañstā thā

bahut ḳhūb-sūrat thā kabhī tālāb manzar

safar vo mutma.in kartā rahā biphre samundar meñ

ki us ke zehn meñ ubhrā na thā girdāb manzar

thapeḌoñ meñ bhī sar mahfūz haiñ pakke makānoñ ke

tum āñkheñ khol kar dekho zarā sailāb manzar

aqīdat se bahā.e phuul yuuñ jhuk kar pujāran ne

ki rañgīñ ho gayā dariyā meñ ik girdāb manzar

sukūñ rāhat tabassum giit sāñsoñ meñ ghulī ḳhushbū

'sadaf' lagtā hai mujh ko ye anokhe ḳhvāb manzar

Top Urdushayar.com