Mazhar Imam

kis samt ja raha hai zamana kaha na jae

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
kis samt jā rahā hai zamāna kahā na jaa.e
uktā ga.e haiñ log fasāna kahā na jaa.e
apnā makāñ ujaaḌ ke sahrāoñ kī taraf
vo shaḳhs kyuuñ huā hai ravāna kahā na jaa.e
lamhoñ kī tarah guzrī haiñ sadiyāñ to bār-hā
ik pal banā hai kaise zamāna kahā na jaa.e
sho.ale bane haiñ lafz to kāñTā huī zabāñ
ab kyā kareñ jo terā fasāna kahā na jaa.e
hai aañkh ufuq pe barf kī sūrat jamī huī
shab hogī kab sahar kā nishāna kahā na jaa.e
kahne ko ye ġhazal hai magar kyā ġhazal jise
nauha kahā na jaa.e tarāna kahā na jaa.e
Top Urdushayar.com