Muntazir Firozabadi

jo chehre ki banawaT se yun zulfon ko haTati ho

Muntazir Firozabadi

Firozabad, Uttar pradesh, India

1990
jo chehre kī banāvaT se yuuñ zulfoñ ko haTātī ho
udhar kā pūchho mat ham se idhar bijlī girātī ho
hamīñ ko jaan kahtī ho hamīñ pe aap martī ho
amaañ chhoḌo ye zid apnī hameñ kitnā satātī ho
abhī chhoḌā kahāñ tujh ko abhī kyā baat bigḌī hai
kināre par khaḌe haiñ ham ki tum aañsū bahātī ho
hameñ to naaz thā tum par tumheñ bhī naaz honā thā
jalānā thā zamāne ko ki tum ham ko jalātī ho
ye mausam hai bāzāroñ kā ki raunaq khīñch laatī hai
hamārī jeb ḳhālī kar divālī tum manātī ho
to kal kuchh kah rahīñ thī 'muntazir' tum Thiik dikhte ho
maiñ pūchhūñ bhī bhalā to kyā bahut bāteñ banātī ho
Top Urdushayar.com