na fāsle koī rakhnā na qurbateñ rakhnā
bas ab ba-qadr-e-ġhazal us se nisbateñ rakhnā
ye kis ta.alluq-e-ḳhātir kā de rahā hai surāġh
kabhī kabhī tirā mujh se shikāyateñ rakhnā
maiñ apne sach ko chhupā.ūñ to ruuh shor machā.e
azaab ho gayā merā samā.ateñ rakhnā
fazā-e-shahr meñ ab ke baḌī kudūrat hai
bahut sambhāl ke apnī mohabbateñ rakhnā
ham ahl-e-fan ko bhī gum-nāmiyāñ thiiñ raas bahut
huā hai bā.is-e-rusvā.ī shohrateñ rakhnā
qasīda-ḳhvāni karo aur mauj uḌaao ki 'shauq'
tamām kār-e-ziyāñ hai sadāqateñ rakhnā