Razi Akhtar Shauq

wo tamam rang ana ke the wo umang sari lahu se thi

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999

vo tamām rañg anā ke the vo umañg saarī lahū se thī

vo jo rabt-zabt guloñ se thā jo duā-salām subū se thī

koī aur baat kufr thī koī aur zikr shirk thā

jo kisī se vāda-e-dīd thā to tamām shab vazū se thī

na kisī ne zaḳhm daad na kisī ne chāk-e-rafū kiyā

mile ham ko jitne bhī baḳhiya-gar unheñ fikr apne rafū se thī

tire mutriboñ ko ḳhudā rakhe magar ab kahāñ tirī bazm meñ

koī sur jo mere suḳhan meñ thā koī lai jo mere lahū se thī

sar-e-kārzār khaḌe ho 'shauq' to yuuñ siina super raho

ki vo log kaun se bach ga.e jinheñ ehtiyāt adū se thī

Top Urdushayar.com