Razi Akhtar Shauq

salamat aae hain phir uske kucha-o-dar se

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999

salāmat aa.e haiñ phir us ke kūcha-o-dar se

na koī sañg aayā na phuul barse

maiñ āgahī ke ajab mansaboñ pe faa.ez huuñ

ki aap apnā munkir huuñ apne andar se

na jaane kis ko ye e.azāz-e-fan milā hogā

tamām shahr meñ bikhre hue haiñ patthar se

ab is ke mauj-o-talātum meñ Dūbne se na Dar

guhar bhī tujh ko mile the usī samundar se

ye ehtimām-e-charāġhāñ bhī kis kamāl hai

diye jale haiñ to maiñ bujh gayā huuñ andar se

ajab samāñ thā ki ab tak haiñ zaḳhm zaḳhm āñkheñ

maiñ kor-chashm bhalā āgahī ke manzar se

Top Urdushayar.com