kis  ne  kahā  ki  mujh  ko  ye  duniyā  nahīñ  pasand
bas  sāmne  kā  thoḌā  sā  hissa  nahīñ  pasand
barsoñ  se  is  ke  saath  guzar  kar  rahe  haiñ  ham
har-chand  zindagī  kā  ravayya  nahīñ  pasand
sūraj  tulūa  hote  hī  dar  band  ho  ga.e
ye  kaise  log  haiñ  ki  saverā  nahīñ  pasand
ḳhvāhish  to  hai  mujhe  bhī  ki  manzil  mile  magar
yuuñ  dūsroñ  kī  raah  pe  chalnā  nahīñ  pasand
maiñ  jāntā  huuñ  jaan  hī  le  legī  tishnagī
lekin  mujhe  ḳhushāmad-e-dariyā  nahīñ  pasand
tārīf  kar  rahe  the  sabhī  ziist  kī  'salīm'
maiñ  ne  bhī  kuchh  qarīb  se  dekhā  nahīñ  pasand