Saleem Faraz

kam ranj mausam-e-gul-e-tar ne nahin diya

Saleem Faraz

kam rañj mausam-e-gul-e-tar ne nahīñ diyā

dil ke kisī bhī zaḳhm ko bharne nahīñ diyā

saare mustafīz hue us zaat se

ham ko ek phal bhī shajar ne nahīñ diyā

murjhā ga.ī hai talḳhī-e-hālāt se magar

kam hai ki ham ne yaad ko marne nahīñ diyā

jaltā charāġh-e-dil shab-e-hijrāñ meñ der tak

mauqa.a magar numūd-e-sahar ne nahīñ diyā

maḳhsūs thī bas us ke liye dil guzar

ham ne kisī ko yaañ se guzarne nahīñ diyā

ham par zamīñ ek sitāra hai multafit

ruḳh par ye nuur shams-o-qamar ne nahīñ diyā

kuchh to charāġh-e-zīst lau bhī thī nā-tavāñ

aur kuchh havā ne us ko ubharne nahīñ diyā

ham bhī the zindagī se gurezāñ tamām raah

shāne pe haath is ne bhī dharne nahīñ diyā

Top Urdushayar.com