Saleem Faraz

abhi maujud thi lekin abhi gum ho gai hai

Saleem Faraz

abhī maujūd thī lekin abhī gum ho ga.ī hai
na jaane kis jahāñ meñ zindagī gum ho ga.ī hai
mire hamrāh kyuuñ vo shaḳhs chalnā chāhtā hai
safar ke josh meñ kyā āgahī gum ho ga.ī hai
sabhī ḳhush haiñ ki saare gum-shuda phir mil ga.e haiñ
mujhe ġham hai ki ab terī kamī gum ho ga.ī hai
mire hoñToñ ko dariyā ne kiyā sairāb lekin
hayāt-afroz dil kī tishnagī gum ho ga.ī hai
maiñ us se muddatoñ ke ba.ad dobāra dobārā milā huuñ
ḳhushī to hai magar vāraftagī gum ho ga.ī hai
ye kin tishna-laboñ kī fauj guzrī hai idhar se
kahīñ kuchh kam kahīñ puurī nadī gum ho ga.ī hai
hamesha jo mujhe izn-e-suḳhan detī rahī thī
hujūm-e-shor meñ vo ḳhāmushī gum ho ga.ī hai
maiñ us kī yaad se bas ek pal ko gum huā thā
magar lagtā hai jaise ik sadī gum ho ga.ī hai
ba-taur-e-rasm hī kār-e-junūñ baaqī hai mujh meñ
vagarna dasht se vābastagī gum ho ga.ī hai
'salīm' us meñ ziyāda farq to ab bhī nahīñ hai
bas itnā hai ki thoḌī sādgī gum ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com