samajhne  vaalā  mirā  martaba  samajhtā  hai
so  farq  paḌtā  nahīñ  kaun  kyā  samajhtā  hai
ye  terī  chāragarī  merī  jaan  le  legī
na  tū  mujhe  na  mirā  mas.ala  samajhtā  hai
maiñ  apnī  maut  ko  ab  zindagī  samajhtā  huuñ
maiñ  kyuuñ  samajhtā  huuñ  merā  ḳhudā  samajhtā  hai
maiñ  ab  kahānī  se  bāhar  nikalnā  chāhtā  huuñ
kahānī-kār  mirā  mudda.ā  samajhtā  hai
vo  is  liye  bhī  palaT  kar  kabhī  na  aa.egā
vo  merā  haal  mirā  faisla  samajhtā  hai
maiñ  kah  rahā  huuñ  mujhe  thoḌā  soch  kar  samjho
ki  ye  lage  mujhe  koī  ḳhalā  samajhtā  hai
zamāna  kuchh  bhī  samajhtā  nahīñ  hai  sach  hai  ye
isī  liye  to  tujhe  bhī  mirā  samajhtā  hai