judā  ho  kar  samundar  se  kinārā  kyā  banegā
nahīñ  sochā  hai  ab  tak  vo  hamārā  kyā  banegā
mujhe  ye  ek  arse  se  zamīñ  samjhā  rahī  hai
falak  se  TuuT  kar  merā  sitārā  kyā  banegā
maiñ  aisā  lafz  huuñ  jis  kā  koī  matlab  nahīñ  hai
ḳhudā  hī  jaane  merā  isti.ārā  kyā  banegā
musavvir  is  liye  tum  ko  banānā  chāhtā  hai
use  ma.alūm  hai  tum  bin  nazārā  kyā  banegā
havā  se  dostī  kar  lī  hai  mere  nā-ḳhudā  ne
mirī  kashtī  kā  dariyā  meñ  sahārā  kyā  banegā
tumhārā  faisla  manzūr  hai  lekin  batāo
bichhaḌ  ke  mujh  se  mustaqbil  tumhārā  kyā  banegā
ḳhudā-e-bahr-o-bar  tū  ne  jo  phir  duniyā  banā.ī
hamārī  ḳhaak  se  is  meñ  dobārā  kyā  banegā